Saturday 20 October 2012

TAANA E NAJDIYAT AUR WAHABIYYAT KA PASH-E-MANZAR (PART 5)








Bismillahirrahmanirraheem



TAANA E NAJDIYAT AUR WAHABIYYAT KA PASH-E-MANZAR (PART 5)


Taareekh ki is haqeeqat se inkaar nahin kiya ja sakta ke (turk) qaum jo kai 100 saal tak aalam e islam par hukumat karti rahi, aur turk hukmaran ba'haisiyat (khalifatul muslimeen ) hejaz par qaabiz aur " khadim ul haramain sharifain " ke magh'ruz laqab se pukaare jaate rahe they,

isi tarah tatari yani  mongol (mughals) donon qaumein jo jadi aitbaar se ek hi nasal se taalluq rakhti hain,

daayerah e islam me daakhil hone se pahle un dono ka shumaar duniya ki intehaayi ujad na'maqool aur wahshi qaum me hota tha,

ye log is qadr wahshi aur ghair mazhab they ke jab kisi ilaaqe par yalghaar karne ghode ki peeth par baith kar jaate toh dauraan e safar bhookh mahsoos hone par chalte chalte hi kamar se khanjar nikaal kar apne ghode ki gardan me ghonp dete aur wahan se nikalne waala garam garam khoon peene ke liye zakhm ke  Maqaam par apna munh laga lete,

isi tarah ye wahshi din wa raat ghode daudaate , mahino ka safar dino me taiy karte, manzil e maqsad par pahunch jaate they, iske elawa wah CHANGEZ KHAN ke ahad se hi unke yahan ye dastoor bhi chala aa raha tha ke wah jis shaher aur maqaam par fatah haasil karte toh maftooh aqwaam ke mard, aurton aur bacchon ke sar (head) tan se juda karke unki khopdiyon ko chunkar alag alag minaar banaate, aur is par fakhr karte they,

saqoot (fall) e baghdad ke baad HALAAKU KHAN ki fauzon ne baghdad ke 14 lakh musalmano ki khopdiyon se jo minaar banaaye they, wah ba'qaul ibn khaldun unki guzashta taareekh ke tamam minaaron par bulandi me sabqat le gaye they,

isi tarah maghruz aur barguzeedh afraad qaum ke marne ke baad unki qabron par aalishaan maqbare aur gumbad banaane ka riwaaj bhi, unhen wahshi tatarion ne hi daala tha,

Tareekh me pahla maqbara changez khan ki qabr par banaaye Jaane ki shahadat milti hai,


Yahi tatari jab musalman hue, apne ilaaqon ya qabail ke aitbaar se  MUGHAL ya TURK ke naam se pukaare jaane lage, tab bhi islam ki paakizah taalimaat ke nateeje me agarchah unki wahshi fitrat me bahut kuch sudhaar aa gaya tha,

lekin bahut si baap dadaon ki rasmein unse phir bhi na chhoot sakin,
isi tarah jaise ham hindustan ke musalman sadiyon se daaman e islam se wabasta hone ke ba'wajood shadi wa ghami ke mauqon par be'shumaar hindu'aana rasmon se aaj bhi chimte hue hain, aur unko tark karne par aamaadah nahi hote,

chunanche khilafat e baghdad ke zawaal ke baad jab khilaafat ki zimmadaariya kulli taur par usmani turkon ke haath aayi, toh unhone apni  qalm ro mein har jagah ba'taur ehteraam sahaba kiram (ra), aimma e deen, awliya allah aur aimma e deen ki qabron par apni qaumi mijaaz aur TATARI rasm wa riwaj ke mutaabik aalishaan gumbad aur khoosurat maqbare taameer Kar daale,
sadiyon tak aalam e islam khususan haramain sharifain un usmani turkon ke zer e nigraani rahe, jiski wajah se wahan par tamam sahaba kiram aur buzurgaan e salaf wa khalaf ki qabrein pukhta aur aalishaan maqbaron me tabdeel hogayin,

dheere dheere jab imte'daar zamana ke saath musalmano me zahni aitbaar se badlaao aaya aur shirk wa bidat ko farogh hua toh sahaba kiram (ra) aur buzuraan e deen ke un maqbaron  par shirk wa bidat ki wahi tamam khuraafaat hone lagin,

jis tarah aaj hindustan me kaliyar, ajmer, dewa, bahraich, barabanki, nizam ud deen awliya dehli ke maqbaron par hote hue ham apni aankhon se dekhte hai,

lekin haramain sharifain ke zer e saaya ye shirk aur allah wahdaaniyat ka MAZAAQ kab tak ???

Chunanche hejaz aur haramain sharifain par saudi hukumat ka daur shuru hua toh ameer saud ne apne sheikh wa murshid MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI TAMIMI (RH) ko " mufti e azam " ka ohda Aur unhe " sheikh ul islam " ka mansab ata kiya aur unke mashwaron aur fatawon ki buniyaad par hi saudi mumlakat me deeni kaam anjam diye jaane lage,

sheikh ul islam hz muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) jo hambali maslak ke aalim they aur theek isi tarah hambali aqaid par amal paira they, jo mazi me sheikh abdul qadir jilani (rh) ka tareeqa aur tarz e amal raha hai,

muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ka sabse bada jurm haramain sharifain aur sar'zameen najd wa hejaz me jagah jagah bane hue sahaba kiram aur deegar saaliheen ummat ke pukhta maqbare khusatan madeena munawwara me " jannatul baqi'e " ki  qabr e muqaddasa par bani imaarton aur qubbon ke inhedam (destroy) ka amal bataya jaata hai,

aur is par unhe kafir, murtad,  aur na jaane kiya kya kaha jaata hai,

jazbaat ki nazar se hatkar agar insaaf ki nazar se dekha jaaye aur unke is kaam ka thande dil se jaayeza liya jaaye toh Bila'shubah wah bilkul hi be'gunaah dikhaai denge,

aur allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki is hadith shareef par amal paira honge ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) qabron ko pukhta aur un par imaarat wagerah banaane se mana farmaya hai,

" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne qabron ko choona'gach (pukhta) karne se, unpar baithne se, aur unpar imaarat tameer karne se mana farmaya hai "

( sahih muslim kitabul janaiz )


aur unhone ek hambali aalim e deen hone ke naate jo kuch bhi kiya, agar sheikh abdul qadir jilani zindah hote toh aise haalat me wah bhi fiqh hambali ki ru se yahi sab kuch karte,

ham yahan is baat ki wazaahat kar den ke fiqh hanafi ki kitabon me likha hai ke qabr banaate waqt uski bulandi ek ba'lisht zameen se ubhri hui rakhi jaani chahiye taake ye log be'dhyaani me aam zameen ki tarah sapaat jagah samjh kar uspar chalne ya uspar Pair rakhne se ghurez karen,

lekin fiqh hambali me ye gunjaish nahi hai, wah log qabron ko zameen ke baraabar kar dene ke qayel hain, aur iski daleel me hadith pesh karte hain,

jo hz ali (ra) se marwi hai aapne abul hayaz asdi (ra) se farmaya tha ke:-" main tumhe us kaam ke liye kyon na bhejun jis par mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne bheja tha, yani kahan koi tasweer ya but dekho use mita do, aur jo qabr zameen se unchi dekho use baraabar kar do "

(tirmizi jild 1 pg 125)

chunanche sheikh ul islam muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ne apne hambali maslak ke mutabik shah saud ko in tamam maqbaron ko gira dene aur unhen zameen ke baraabar kar dene ka huqm diya gaya,

bas ! Is khabar se duniya ke tamam khaankahon wa quboori musalmano me be'chaini ki laher daudh gayi, khaas taur par hindustan me ek toofaan barpa ho gaya,

sahaba kiram (ra) ki tamam qabr e muqaddasa par jin  Par ba'qaayedah shirkiya rasmein aur chadhaawe chadhaaye jaate they, unse minnat aur muraaden maangne, log door door se aate they,

unko theek isi tarah  tauheed ke tahaffuz (hifazat) aur shirk se hifazat ke liye mismaar kar diya gaya,

jis tarah ameer ul momineen hz umar bin khattab (ra) ne apne daur e khilaafat me hudaibiya ke maqaam par wah darakht jiske neeche " bait e rizwan " hui thi, aur jiska zikr quraan majeed me bhi aaya hai, logon ne wahan jaakar aur us darakht ke neeche nawafil padhne ka riwaaj dekhkar tauheed ki hifaazat aur shirk ke imkaan ke pesh e nazar hz umar (ra) ne us darakht ko jad se ukhadwaa kar phenkwa diya tha,

halaanke us waqt daur e farooqui me wahan kisi qirm ke shirk ka aaghaz nahin hua tha, sirf namazein hi wahan padhi jaane lagin thi,

jabke iske bar'khilaaf daur e saudi se pahle sahaba kiram (ra) ki un qabr muqaddasa par arsah'daraaz se shirk ki mahfilein jami thin aur Chadhaawe aur nazraane wagerah chadhaaye jaate they,

aisi soorat me ek  zimme'dar aalim e deen ke liye un ghair islami aur shirk ke ghadh imaarton ko mismaar aur nest'nabood karna, sheikh ul islam hone ke naate na'ghazeer tha aur wahi hua........


TO BE CONTINUED......

2 comments:

  1. Abey Chu Najdi...Agar apne baap ki halaali aulaad hai toh Iraq Madina ke mashriq hai yeh sabit kar. Itna Khula jhut kahte ho jahilon? Kya logon ko bhi apni tarah jahil samjha hai?

    ReplyDelete
  2. Islamic historical facts:------------------------Arab Shareef me 1922 tak Turkey ki hukumat thi jise Khilafat e Usmania ke naam se Jaana jaata hai.Jab bhi duniya me Musalmano par zulam o sitam hota tha Turkey iska muh Tod jawab dete...America ko agar subse zyada kisi ka khauf tha to wo Khilafat e Usmania ka tha. America ko malumtha jab tak Khilafat e Usmania hai hum Musalmano ka kuch nahi bigad sakte.America ne Khilafat e Usmania ko khatam karne ki saazish shuru ki.America ne subse pahele ek shaksh ko khada kiya Jo Christian tha aisi Arabi bolta tha ke kisi ko us par shak tak nahi aaya usne Arab ke logo ko Khilafat e Usmania ke khilaf ye keh kar gumrah karne ki nakaam koshish ki ke tum Arabi ho aur ye Turkey Ajami hai, tum Ajami ki hukumatko kaise bardasht kar rahe ho. Par logo ne uski ekna maani.Ye shaksh Laurence of Arabian ke naam se mashoor hua (aap Laurence of Arabian likh kar Google par search kare)Fir America ne ek shaksh ko khada kiya jiska naam Hempher tha (aap google par Hempher ki wikipedia pad sakte ho) Hempher ki mulaqat IbneAbdul Wahab Najdi aur Arab ke ek daku se Hui usdaku ka naam Ibne Saud tha. Hempher ne Ibne Saud ko Arab ka Hukmaran banane ka lalach diya. Phir Ibne saud ne Makkah Madina aur Taif me Turkey ke khilaf jung shuru kardi. Makkah Madina aur Taif ke lakho Musalman Ibne Saud ki daku fauj ke haato Shaheed hue..Jab Turkey ne dekha ke Ibne Saud Hume Arab se nikalne aur khud. Arab par hukumat karne ke liye Makkah, Madina aur Taif ke bekusur Musalmano ko Shaheed kar raha hai tab Turkey ne aalami taur par ye ailan kar diya ke hum is paak sarzameen par qatal o garat pasand nahi karte is wajah se hum Khilafat e Usmania ko khatam kar ke apne watan Turkey wapas ja rahe hai.Fir Arab aur duniya ke Musalmano ka zawal shuru hua. Ibne Saud Arab ka Badshah bana..Hijaz e Muqaddas Ka Naam 1400 saal ki tarikh me paheli baar badla gaya Ibne Saud ne Hijaz e Muqaddas ka naam apne naam par Saudia rakkha gaya.Jagah jagah raste aur cauraho par Ibne Saud ki tasweere lagai gai.Jannatul Baqi aur Jannatul Mualla me Sahaba aur Ahle Bait ki Mazaro par Bulldozer chalaya gaya.Haram Shareef ke jin darwazo ka naam Sahaba aur Ahle Bait ke naam par tha unka naam Aale Saud ke naam par rakkha gaya.Yahud o Nasara ko Arab me aane ki permission mil gai.Jis din Ibne Saud Arab ka King bana us din ek jashan hua us jashan me America, British aur Dusre Kafir Mulko ke Prime Minister Ibne Saud Ko Mubarak baad dene pahoch gaye. Jis Arab ke naam se Yahud o Nasara kampte the wo Saudia America ke Ishare par nachne laga aur aaj bhi naach raha hai...Yahud o Nasara ki is sazish ka zikar karte hue Allama Iqbal Ne Apne kalam Me Likha Hai:Wo Faka kash Jo mout se darta nahi zaraRoh e Muhammad (SalAllahu Aalaihi Wa Sallam). iske dil se nikal doFikre Arab ko dekar firangi tagaiyulatIslam ko hijaz aur Yemen se nikal do..

    ReplyDelete