Saturday, 6 September 2014

NAJD KI HADITH KA JAWAB








Question:-Brother Syed Shoaib Mohammad Najd ka sahi mafhum kya hai aur hadis najd se murad kaun h?
.
Answer:- Batil parst hmesha ahle haq ke bare me mukhtalif qism ke ke propganda karte rahte h lekin Allah ke fazl wa aihsan se haq numaya aur mash'hur hokr raha arab ki sharzamin par jb shaikhul islam muhmmad bin abdul wahab rh. ne tauheed ka aalam buland kiya aur shirk wa bid'aat ka sar kuchala to kalima go mushriko ne nabi karim s.a.w ki ahadis ka m'ana wa mafhum badlkar unhe shaikul islam par chaspa krna shuru kar di in hadiso me se ek hadis najd h jiska sahi matlab iraq ki sarzamin hai jaha bahut se gumrah firko ne janam liya
-
[ TADAAD-E-NAJOOD ]
.
Arab main NAJD k naam se jo jo elaqay maroof hain unki mukhtasar fehrist "Allama Zubaidi ne Taaj-ul-Uroos Sharah Qamoos" or "Allama Hamvi ne Moajamul Bildaan" main di hai jo k pesh pesh hai,
.
1- Najd Al Wazz
2- Najd Aa'jaa
3- Najd Barq
4- Najd Khaal
5- Najd Al Shari
6- Najd Azar
7- Najd Al Oqaab
8- Najd Kabkab
9- Najd Mare'ee
10- Najd Al Yaman
(jisy aaj kal NAJD SAUD kaha jata hai)
11- Najd Al Iraq
12- Najd Al Hijaaz
( Taaj-ul-Uroos Sharah Qamoos J.2 P.511 Az Allama Zubaidi,Moajamul Bildaan J.19 P.265 Az Allama Hamvi )
-
QARN-UL-SHETAAN KONSA NAJD HAI ??? ]
Is sawal k jawab k lie sabse pehle hum Hadees-e-Nabwi ko he lete hain,Hazrat Abdullah Bin Umar R.z.a raawi hain k RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne dua farmayi k "ay ALLAH hamare lie shaam main barkat dy hamare lie yaman main barkat dy,Sahaba R.z.a ne arz kiya k Ay Allah K Rasool Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam hamare NAJD main (bhi barkat ki dua kijiye),Aap S.a.w.w ne phir dua farmayi k ay ALLAH hamare lie shaam main barkat dy hamare lie yaman main barkat dy,Sahaba R.z.a ne phir arz kiya k Ay Allah K Rasool Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam or hamare NAJD main (bhi barkat ki dua kijiye),(Raawi Ibn-e-Umar R.z.a) ne kaha mera khayal hai k 3sri martaba (Sahaba R.z.a k jawab main) Aap S.a.w.w ne farmaya k wahan zalzalay or fitne honge or wahen se shetaan ka seeng (Qarn-ul-Shetaan) zahir hoga"
( Sahi Bukhari J.2 P.1051 )
-
Hazrat Imam Bukhari Aleh Rehma is hadees ko "Al Fitan Qabal ul Mashriq" k unwaan k tehet la kar hadees main mojud lafz "Wa Fi Najdana" ki wazahat karna chahte hain k NAJD se muraad is jaga konsi sarzameen hai,Is tashreeh k lie Imam Bukhari R.h.a ek or hadees laye hain kHazrat Abdullah Bin Umar R.z.a raawi hain k "unho ne RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ko mashriq ki taraf mu kar k ye kehte hue suna k khabardar beshak fitna yahan se niklega jahan se shetaan ka seeng nikalta hai"
( Sahi Bukhari J.2 P.1050 )
Is hadees ne ye baat saaf kardi k Nabi Aleh Salato Was'salam ne peshgoi farmate hue mashriq ki taraf ishara karte hue farmaya tha k Qarn-ul-Shetaan is taraf hai,Ab sawal ye peda hota hai k Syed-ul-Arab Wal Ajam Hazrat Mohammad Mustafa Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne kab or kis jaga khare ho kar mashriq ki taraf ishara kiya tha
-
To iski tashreeh k lie Imam Bukhari R.h.a ek 3sri hadees Imam Salim R.h.a k waastay se laye hain jisme ye alfaz hain k "Nabi Aleh Salato Was'salam ne ye baat minbar ki ek janib khare ho kar kahi thi"
( Sahi Bukhari J.2 P.1050 )
Is hadees se ye baat khul kar hamare saamne ajati hai k Nabi Aleh Salato Was'salam ne Madina Taiyyaba main mashriq ki taraf ishara karte hue kaha tha k Qarn-ul-Shetaan is taraf se niklega or Madina Taiyyaba se aeen mashriq ki taraf Najd Iraaq hai jo k Ahlul Raaye ka markaz hai,Isilie Allama Tahir Fatni Hanfi is hadees ka ma'ana bayan karte hue Najd Shetaan ki tashreeh main farmate hain k "ye ek khaas jaga ka naam hai jo hijaaz k alawa iraaq k saath milti hai"
( Majmua Bihaar-ul-Anwaar J.4 P.680 )
-
[ MAZEED WAZAHAT ]
Hazrat Hasan R.h.a raawi hai k "Allah K Rasool Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne dua ki, ay ALLAH hamare Madina ko hamare lie barkat wala bana, ay ALLAH hamare shaam main hamare lie barkat ata farma, ay ALLAH hamare yaman ko hamare lie babarkat bana,Ek admi ne kaha k Ay Allah K Rasool Aleh Salato Was'salam iraaq k lie bhi dua farmayen qk wahan se hamare lie gandum or degar zarorat ka saman ata hai,Aap S.a.w.w khamosh rahe,Usne ye dekh kar phir guzarish ki,Aap S.a.w.w phir khamosh rahe,Phir farmaya k wahan se shetaan ka seeng niklega wahan zalzalay or fitnay barpa honge"
( Kanzul Aa'maal J.14 P.77 Hadees #38273 )
-
Hazrat Abdullah Bin Umar R.z.a raawi hain k "RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne subha ki namaz ada farmane k baad muqtadio ki taraf mu k main hamare lie barkat dy,Is per ek admi ne phir guzarish ki k Ay Allah K Rasool Aleh Salato Was'salam iraaq (k lie bhi barkat ki dua kijiye)To Aap S.a.w.w khamosh rahe phir wohe dua farmayi jo pehle farmayi thi,Phir ek admi ne kaha k iraaq k lie barkat ki dua kijiye, To Nabi Aleh Salato Was'salam ne farmaya (main wahan k lie kese dua karun) wahan shetaan ka seeng zahir hoga or fitne fasad josh marenge"
( Kanzul Aa'maal J.14 P.71 Hadees #38228 )
.
Is hadees ko mulaheza kijiye jo kisi hashiya arayi ki mohtaaj nahi bal k apne tafseer aap kar rahe hai qk yahan NAJD k bajaye saaf Iraaq ka lafz mojud hai jiska saaf matlab hai k Bukhari Shareef ki riwayat main jo NAJD lafz aya hai is se muraad Najd Iraaq hai Najd Yaman jisy aaj kal Najd Saudia kehte hain wo muraad nahi,Yehi waja hai k Imam Bukhari R.h.a ne is hadees ko "Baab ul Fitan Qabal ul Mashriq" k tehet la kar is baat ka ishara kiya tha k yahan NAJD se wo NAJD muraad hai jo Madina se janib e mashriq hai or sab jante hain k Madina se mashriq ki janib Iraaq hai jisme basra o kofa jese sheher abaad hain jo k Ahlul Raaye or Ahle Taqleed k markaz or fitno ki sarzameen hain,
.
[ TAREEKHI SHAHADAAT ]
1- Hazrat Umar Farooq R.z.a ko shaheed karne wala ajami tha,
2- Hazrat Usman Ghani R.z.a k ehed ka fitna iraaq he se uth kar misr tak phela,
3- Jang-e-jamal o sifeen isi sarzameen e iraaq per hui jske natijay main wo qeemti khoon baha jiski talafi rehti duniya tak na ho sakegi,
4- Hazrat Ali R.z.a ko yahen shaheed kiya gaya,
5- Khuwarij, ISLAM ka pehla gumrah firqa yahen se nikla,Jabariya or Qadaria ne bhi yahin se janam lia,ISLAM main degar firqo jese Jahimia ka fitna jiska mojad Jaham Bin Safwan tha iraaq se nikla,Motazala ne bhi yahen se sar nikala jiski waja se beshumar fuqaha o muhaddiseen ko nakabil e bardasht aziyaten sehna parhi,Aitezaal ka bani Mubani Wasil Bin Ata or Umro Bin Ubaid bhi iraaqi tha,
6- Jigar Gosha-e-Rasool Hazrat Imam Hussain R.z.a ka qaafla bhi yahen furaat k kinare luta
.
7- Shiyat jisne ISLAM ko 2 hisso m taqseem kiya yahin iraq ki pedawar hai,
8- Hujjaaj ki safakiyan isi sarzameen per hui,
9- Mukhtaar Bin Abu Ubaid ne daawa-e-nabuwat iraq se he kiya,
10- Turk o Tatari garat gariyon k natayij yahen ronuma hue,
11- Jang-e-azeem main wahid ISLAMI taqat k saath gaddario k natayij bhi yahen ronuma hue,
12- Mazi e kareeb main Abdul Kareem Qasim ka fitna bhi iraq se nikla,
13- Bahiyat or Babiyat ne yahen se janam lia or iski bigdi hui soorat Qadyaniat hamare saamne hai,
14- Iraq Iran jang jisne tamam musalmano ko tabahi k dahane per la kar khara kiya,
15- Or aakhir main Dajjaal bhi isi sarzameen se niklega.
( Mustafaaz Az Seerat un Nabi J.3 P.389 o Tareekh e Islam Az Moin uddin Nadwi )
In tamam tareekhi shahwahid ki roshni main ye baat wazeh hojati hai k iraq he Qarn-ul-Shetaan or zalzaal o fitan ki sarzameen hai,
.
Apne dekha k Najd Iraq se kitne fitno ne sar uthaya,Iske bar'aks Najd Saud yani Najd Yaman se aaj tak koi fitna khara nahi hua,Bal k Banu Tameem k ek momin-e-kamil
(Shaikh Mohammad Bin Abdul Wahab R.h.a) ne fitna parwaro ka qila'qama karte hue toheed parasto k paigham se qabar parasto ko nanga kardia,Wilayat k naam se qabaro ko maal e tijarat banne se mana kardia,Tariqat k naam se millat faroshi ko khatam kardia,Jab mushrikeen k karobaar maand parh gaye to us mard-e-haq (Shaikh Mohammad Bin Abdul Wahab R.h.a) ko is qadar badnaam kiya gaya k "Al Amaan wal Hafeez"Magar duniya ne dekha k uski dawat Hijaaz o Tahama o Yaman o Shaam tak aam hogayi or uski dawat o jihaad he k natijay main Haramain Sharifain ko unka purana waqar mil saka or unki haqeeqi hurmat o izzat bahaal ho saki,
.
[ IRAQ HADEES-E-NABVI KI ROSHNI MAIN ]
Hazrat Abdullah Bin Umar R.z.a raawi hain k RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne farmaya k "shetaan iraq main dakhil hua to wahan apni zarorat puri ki phir shaam gaya to wahan k logo ne usay bhaga dia phir misr gaya or wahan khoob anday bachay diye or wahan khoob mazay se raha"
( Tabrani Kabeer J.12 P.262 Hadees #13290,Tabrani Oost J.7 P.221 Hadees #6427,Kanzul Aa'amaal J.12 P.138 Hadees #35154,Durr-e-Mansoo­r J.3 P.112 ).
.
Imam Yaseer Bin Umro R.h.a bayan farmate hain k "main Hazrat Sehel Bin Haneef R.z.a k paas gaya or unse arz ki k muje wo bayan kijiye jo apne Nabi Aleh Salato Was'salam se suna,Unho ne kaha k (shayad tum) haroria (khawarij k muta'allik puchna chahte ho) so unke muta'allik main tumse apni taraf se barhaye bagair batata hun k mene suna Aap S.a.w.w ek qom ka tazkira kar rahe the jo udhar se niklegi,Ye keh kar aap ne iraq ki taraf ishara kiya (or farmaya k) jo Qur'aan parhenge unke halaq se neechay nahi utrega wo deen se ese nikal jayenge jese kumaan se teer,(Raawi-e-Hadees­ Yaseer R.h.a) kehte hain k mene kaha k kiya Nabi Aleh Salato Was'salam ne unki kuch nishani bhi batayi hai?Wo (Sehel Bin Haneef R.z.a) bole mene jo kuch suna tha us se ziada main kuch nahi bata sakta"
( Musnad Ahmed J.3 P.486,Tehzeeb Musnad J.4 P.36 )
.
Maloom hua k is hadees se jo Ahle Biddatt JAMAT AHLE HADEES ko mat'oon karte hain wo sarasar jhoot fareeb or unki makkaari o ayari hai,Is hadees k misdaaq unke iraqi bhai khuwarij hain or AHLE HADEES k bajaye Ahle Biddatt Ahle Taqleed is hadees k misdaaq hain qk inka ta'alluk iraq k sheher kofa se hai,
.
Iske alawa Shaikh Mohammad Bin Abdul Wahab R.h.a khandan Banu Tameem k chashm-o-chiraagh the or is qabeelay ki azmat Hadees-e-Nabvi se sabit hai,Hazrat Abu Hurera R.z.a bayan krte hain k main Banu Tameem se uswaqt se barabar mohabbat karne laga jab se mene RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam se inki 3 baaten suni,Aap S.a.w.w farmate the k "Banu Tameem meri sari ummat main dajjaal k bade mukhalif honge (jab wo khabees niklega),Or esa hua k Banu Tameem ki ek aurat Hazrat Ayesha R.z.a ki ghulaam thi Aap S.a.w.w ne farmaya k isay azaad kardo qk Banu Tameem Hazrat Ismayil A.s ki aulaad se hain,Banu Tameem ki zakat ayi to Aap S.a.w.w ne farmaya ye meri qom ki zakat hai"
( Sahi Bukhari J.2 P.626,Sahi Muslim J.2 P.307 )
.
Musalmano!Zara gor karo jis qom ki tareef Allah K Rasool-e-Barhaq Hazrat Mohammad Mustafa Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam karen,Unki bahaduri or dajjaal k bilmuqabil imaani quwwat ki peshgoi farmayen,Unko apni qom qarar den,Sahaba Kiraam R.z.a unhe mehboob rakhen,Aaj unhe be'deen o gumraah kaha jata hai wo bhi sirf bebuniyaad or jhooti afwahon k natijay main,Tanqeed karne walo k paas koi bhi mazboot daleel nahi hai bas zabani daaway hain,Main samajta hun k ab logo per haqeeqat wazeeh hojani chahiye.Wallaho Yaahdi Maii'ya'shaa
 
 
Via- Ayan khan salafi

Monday, 22 October 2012

TUJHSE AUR JANNAT SE KYA MATLAB WAHABI.......... !!!





Bismillahirrahmanirraheem
TUJHSE AUR JANNAT SE KYA MATLAB WAHABI.......... !!!
Barre sagheer hind wa pak me ' NAJDI ' aur ' WAHABI ' ke alfaaz ek makhsoos maktab e fikr ki karam'farmaiyyan ke nateeje me unke awaam aur padhe likhe afraad ki zabaan par arsha'daraaz se maslak " AHLE HADITH " aur "DEOBANDI " khyaal ke tamam hi tawheed ke alambardaar aur shirk wa bidat ke amal par nakeer karne waalon ke liye ek " TOHMAT " aur " GHALEEZ GAALI " ki jagah istemal hote rahe hain,
Aur amuman najdi wa wahabi ki dono ijaad ek dusre ki mutraadaf aur ham'maana samjhi jaati hai,
in ijaad'kardah lafz ko ba'taur tanz wa tabarra istemal karne ka sahara agarchah barre sagheer ki ek mashoor wa maroof mazhabi shakhsiya aur makhsoos " Maktab e fikr " ke baani aur sarbaraah ke sar jaata hai,
taaham wahabi aur najdi ki arfiyat aur " ghali " se poori tarah tawaffiq aur tawheed ke kilaaf inko ba'taur " harba (techniqe) Istemal karne me awliya e tassawwuf se waa'basta aur shirk wa bidat ke pairokaar dusre giroh aur kuch makhsoos " firqe " bhi, iske hamnawa aur kirdaar'kushi ki is muhim aur propaganda me kadam se kadam milaaye nazar aate hain,
Wahabi aur najdi ke naam se mukhaalifeen e tauheed, aur shirk wa bidat ke aalam'bardar logon ke zehno me badi khoobsoorti ke saath zehno me bithaaya gaya hai,
iske mutabik aise tamam log qatai kafir aur murtad, dushmanaan e rasool aur munkireen e awliya allah hain,
inse nafrat karna, unke liye dilon me bughz rakhna farz aur imaan takaaza hai, aur aise logon se taalluqaat rakhna, unse salaam wa kalaam ya musaafa karna, unke salaam ka jawab dena qatai " HARAAM " aur najayez hai, kyonki ye log uper uper se musalman hain, magar andar se bilkul kafir aur khaarij e iman hain,
unki namaz na toh namaz hai aur na unki di hui azan sahih  hai, ye log bilkul saaf taur par jahannum ke Eendhan hain,
aur unke bil'muqaabil ham (barelwi,shia) khud sacche pakke sunni ul aqeedah musalmaan, jo awliya ke chahete aur nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke sacche ASHIQ aur jaan'nisaar hain, isliye ham (barelwi ) log bila'kisi diqqat ke aur nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) aur awliya ki shifaarish se seedhe jannat me chale jaayenge,
jaisa ke unki maroof mazhabi shakhs ke is shayer se zaahir hota hai,
" tujhse aur jannat se kiya matlab wahabi door ho,
ham rasoollullah ke, jannat rasoollah ki "
nez ye ke
" sooraj ulte paaon palte, chand ishaare se ho chaak
andhe najdi dekh le, qudrat rasoollullah "
shayeri chunke awaam un naas, khusan Jaahilon ke zaheno tak pahunchne ka sabse aasaan aur bahtareen zariya hai, isliye wahabi aur najdi ki muzammat me be'shumar ash'har  likhe gaye aur logon me aam kiye gaye aur unhe raat wa din apne aqaid baatila ki nashr'gaah masjid ke  LOUDSPEAKERS ke zariye, nez mahfil meelad wa majalis muharram wa chehellum ke stage se ,aur bastiyon me nashr kiya jaata hai, taake wah awaam ke dar e zabaan ho jaayen aur gali gali unka asar wa propaganda kiya ja sake,
chunanche is qism  ke chand ash'har ba'taur namoona mulaaheza ho
" jisne sab najdiyon ke qile dha diye
himmat ala hazrat par lakhon salaam "
" sheikh najdi ka sar kaat kar rakh diya
khanjar ala hazrat pe lakhon salam "
nez ye bhi mulaheza ho
" na namaz unki namaz hai, na rasool se unhe kuch gharz,
karen lakh sajden wah din raat hain, wahabi phir bhi jahannami "
Beharhaal ! Awaam un naas ke faasid'shudah aur bimaar zehan ki is kaifiyat aur islam dushman anaasir ki musalmano ki safon me fitna'aaraayi ki koshishon aur bahami nafrat wa adawat ki takham'rezi ke pesh e nazar ba'shaur aur baaligh nazar logon ke zameer ko jhinjhodne aur ahle shia wa yahud wa nasaara ki ummat muslima Ke khilaaf propagandah se aagaah karne ke liye is blog (ISLAMICLEAKS) par ek series isi talluq se pesh ki ja rahi hai jo Dr abu adnan saheel ki murattab kitab "  HADITH NAJD AUR FITNA NAJDIYAT KA...........EK TAHQEEQI JAYEZA " me murattab ki gayi hai,
jisme wahabi aur najdi ke badnaam zamana istelaahaat ki haqeeqat se pardah uthaaya gaya hai, aur arbi lughat , sar'zameen me arab ki geograaphia . Kutub seerat aur hadith e nabwi  ki roshni me un istalaahaat (bad'naam lafz) ka tahqeeqi jayeza liya gaya hai,
Barelwi mujaddid ne in dono naamon ka bahut propaganda kiya aur shor wa kohram barpa kiya hai, uska pash-e- manzar aur haqeeqi maqsad kiya hai ?
Aur musalmano ki safon me tafreeq wa nifaaq ba'ham nafrat wa bughz wa anaad aur girohi propaganda ke jazbaat ubhaarne waale in dushman e islam anaasir ke  hamileen logon ke saajish dimagh kaam kar raha hai, uska bhi khulaasa hua hai,
nez islam ko bad'naam Karne ke liye unke napak azaim kiya kuch hain ?? Unka bhi jaayeza liya gaya hai,
in sab baaton ki nishaan'dehi us kitab aur hamare blog (ISLAMICLEAKS) me ki gayi hai,

NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 1)

NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 2)

NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 3)

NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 4)

FITNO KI AAMAD'GAAH TAREEKH KE AINE ME : ( PART 5)

TAANA E NAJDIYAT AUR WAHABIYYAT KA PASH-E-MANZAR (PART 5)

FITNA-E-NAJDIYAT AUR ULEMA E HIND : (PART-2)

HAMEN ummeed hai ke inshallah ye kitab  aur blog tamam insaaf pasand aur nek fitrat logon ke liye behtar raah saabit hogi......
Allah taala ham sabko haq baat kahne aur us par amal paira hone ki taufeeq de........ameen

FITNA-E-NAJDIYAT AUR ULEMA E HIND : (PART-2)





Bismillahirrahnirraheem
 
FITNA-E-NAJDIYAT AUR ULEMA E HIND : (PART-2)


Isi tarah khan sahab barelwi ka ye fatawa bhi unki " tabarrayi " zehniyat ki nishandehi karta hai aur unki (SADISM) ki nafsiyaati bimari ka aina'daar hai,
farmate hain
" wahabi sabse bad'tar murtad hain, unka Nikah Kisi Haiwaan se bhi nahin ho sakta, jisse bhi hoga, zina e khaalis hoga "
( fatawa rizwiya jild 5 pg 194)
aapne mulaaheza farmaya !!!
" haiwaan se nikah ke alfaz se andaaza kiya ja sakta hai ke " faazil e barelwi " ahmad raza khan sahab ghaiz wa ghazab aur bughz wa adaawat ke kis bulandi par hain ??
" Haiwaan se Nikah !!!"
agar ahmad raza khan sahab barelwi ke ye alfaaz khaalis shi'ee andaz " tabarra " par mabni nahin hain, toh phir khan sahab ke nazariyaat ke pairokaar, iski wazaahat ke zimme'dar hain ke,
haiwaanaat me fa'al nikaah ka riwaaj duniya ke kis hissa me paaya jaata hai ???
Aur unka nikah padhaane waala qaazi... ......... Jo ghaliban insaan hi hota hoga..... In haiwaano ka nikah kis zabaan me karaata hai ??
Haiwaanaat ko nikah ya sharai qawaneen ka muqallaf shariat e islamia me toh banaya toh nahin gaya hai, toh phir haiwaanaat se nikah waali baat unhone kis mazhab aur kausi shariat ki ru se irshaad farmayi hai..... ??
Agar ahmad raza khan sahab barelwi ka mahaz izhaar " tabarra" nahin hai, toh phir haiwaanaat se nikah karne ki baat maqool wazaahat hona chahiye !!
Wahabi agar khan sahab barelwi ke khyaal ke mutaabik " bad'tar murtad" hain, toh rishta azwaaj (life partner) ke liye duniya me dusre murtadeen ka aqaal (drought) padh gaya, jo wah unhen chhodkar haiwaanaat se rishta nikah karne par MAJBOOR honge ??
Aur phir khan sahab barelwi ke ye alfaz ke
"jisse bhi hoga zina e khalis hoga"
ye bhi kaunsi aqalmandi ki baat irshad farmayi hai ??
Agar wah " murtadeen " aapas me hi apne ham khyaal logon me shadi Byaah karen, jis tarah deegar kaafir aur mushrik karte hain, toh unka ye rishta ghalat aur " zina e khalis " aakhir kis usool aur kaunsi buniyaad par hoga ???
In tamam sawaalaat ke tafseel bakhs jawaabat diye be'ghair " tabarra " ka ilzaam bani e barelwiyat janab ahmad raza khan sahab ke daaman se dhoya nahi ja sakta !!
Jahan tak " tabarra  " ke shi'ee fitrat ke izhar ki baat hai, toh ahmad raza khan barelwi ne apne is sha'ar ke zariye apne hi chehre ka naqaab utaar kar phenk diya hai,
mulaheza ho
" dil e dushman ko raza tez namak ki dhun hai,
haan zara aur chidakta rahe khamah tera "
(hadaiq bakhsish)
Musalmano se nafrat wa adaawat aur " tabarra " ke zaman me ek aqtabaas aakhir aur mulaaheza farmaaye, janab ahmad raza khan barelwi insaaniyat aur sharaafat ke jama se baaher ho kar " wahabiyon " par kis tarah ghaiz wa ghazab ka izhaar karte hai,
" Khabeeson tum kafir thaher chuke ho, iblees ke Maskhare, dajjal ke gadhe, aiy munafikon wahabiya ki pooch imaarat, qaroon ki tarah tahtus'sara pahunchti, najdiyat ke kawwe sisakte, wahabiyat ke BOOM bilakte, aur mazbooh gustaakh bhadakte "
(khalis ul eteqaad page 20)
Baher'haal ! Tabarra'aaraayi ka jo harba aazmaaya tha, ba'zaahir uska asli TARGET saudi arab ke aalim e deen hz muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ki zaat e giraami maalum hoti hai,
magar asliyat me ye " sahyooni shajish (zionist conspiracy ) ki ek kadi thi, jiska maqsad na sirf bar e sagheer hind ke musalmano me balke aalmi satah par millat e islamiyah me inte'shaar wa tafreeq paida karna aur unhen markaz e islam " makka mukarrama " aur madeena munawwara se zahni taur par kaatna aur arabon se  nafrat paida karwana tha,
khaas taur par hajj ke mauqe par har saal wahdat e islami aur akhwat e bahimi ka jo shandar nazaara haramain sharifain me dekhne me aata hai aur tamam Aur duniya ke  musalman wahan dauraan e fareeza e hajj aapas me khuloos se milte hain, aur  haramain sharifain ke qaabil e ehteraam imamon ki iqteda me har maktab e fikr ke log  ek hokar aur pair se pair milakar namazein padhte hain,
yahudi laabi ki nigaahon me ye shaandar nazaara hamesha se buri tarah se chubhta raha hai, kyonki ye soorat e haal unke khwaabon ki " aalmi yahudi sultanate " (DEVID REGIME ) ke qayaam ki raah me sabse bada roda aur unke inhedaam e islam ke mansooba me ek mazboot rukaawat thi,
hajj me musalmano ka ye aalmi ijtema aur wahdat e islami ka azeem us shan mazaahirah unke liye hamesha se ek CHALLENGE ki haisiyat rakhta hai,
markaz e islam makka wa madeena se yahudion ki adaawat hamesha se rahi hai,
chunanche yahudion ki koshishen rang layi aur aaj barre sagheer hind wa pak ke kalma go afraad ka ek giroh (barelwi) zahni taur par markaz e islam se katai kat chuka hai, aur  Muhammad bin abdul wahhab najdi tamimi (rh) ke hawaale se aaj makkah mukarrama, madeena munawwara aur saudi arabia ke saare hi arab unke nazdeek " bad'mazhab " khaarij ul islam aur naozubillah " dushman e rasool " hain, aur haramain shareefain me maujoodah imam unke nazdeek kafir wa murtad hain..... Jinki iqdeta me namaz padhna wah haraam samjhte hain aur hajj ke zamaane me jab wah haramain sharifain me azaan ki awaaz sunte hain toh ujlat ke saath ulte paaon apni qayaam gaahon ki taraf daudh lagaate hain, taake wahan chhup kar wahan kamre me inferaadi taur par apni namazein ada kar saken,
jo log bheed me phans kar haram se baaher nahin nikal paate wah majbooran haram ke kinaare bane hue bait ul khala ( LATRINE ) ka rukh karte hain, aur dauraan e namaz e haram khud ko pakhaano me band aur pooseedah rakhte hain, taake un par haram me tainaat " mazhabi police " ke kisi sipaahi ki kahin nazar na padh jaaye , warna wah pakde jaayenge, aur zillat wa khwaari ke saath jail ki hawa khaayenge, aur anjaam e kaar hajj kiye be'ghair waapas watan bhej diye jaayenge,
yahud wa nasaara ki aalam e islam ke saath kash'makash aur muhaaz'aaraayi bahut puraani hai, isaaiyon ki musalmano se saleebi jaungon ka silsila aur sultan nooruddin jungi, aur sultan salahuddin ayyubi (rh) ke haathon unki zillat amez'shikast aaj bhi isaayi duniya ko acchi tarah yaad hain, aur un hazeematon ke zakhm abhi tak unke dilon me nahin bhar paaye hain,
chand saal pahle afghanistan me taliban ki hukumat ke khilaaf elaan e jung ke mauqa par america ke sadar george w bush ne jis tarah " Saleebi jung " ke hawaale se musalmano ko kuchalne ki baat ki thi, wah aaj bhi logon ko yaad hogi,
islam dushman taaqatein musalmano ki jin khususiyaat se khauff zadah rahti hain wah unka " Jazba Jihad " ka be'misl muzaaherah aur baahimi akhwat aur markaz e islam Se ghair mamooli taalluq aur aqeedat wa muhabbat ka izhaar hai, unme bhi sabse zyada ahmiyat JIHAD ko haasil hai,
zaahir hai ke islami jihad ya jihad fi sabeelillah jiske naam hi se ghair muslim taaqatein larazti hain, musalmano me baahami ittehaad , jazba e akhwat aur itaat e ameer ke qawi rujhaanaat ke be'ghair amal pazeer nahin ho sakta, in khususiyaat ke be'ghair jihad ki haisiyat ek " waqti muzahera " aur " fauji khud'kashi " se zayada nahi rahti, aur usme kaamyaabi ke imkaanaat ek feesad ( 1% ) bhi nahin hote,
Dushman e islam is haqeeqat ko acchi tarah se jaante hain aur isi liye wah mukhtalif muhaazon par musalmano ke inte'shar ke liye hamesha sar'garm e amal rahte hain, taake ye kabhi unke khilaaf kadam se kadam milaakar khade na ho saken,
musalmano me ye zaat paat (casteism) ki tafreeq aur oonch neech ki zahniyat . Ilaaqaayi aur insaani buniyadon un me inte'shar aur zehni dooriyan siyaasi Aur mu'aasharti giroh bandion ke mazaherd aur zehni aitbaar se " kalma go " aur allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke wafaadaar aur jaan'nisaar kahlaane ke wajood unme bahimi infaaq , nafraton aur adaawaton ki naqaabil e uboor wagerah wagerah
agar gahraayi se ghaur karen toh ye sab baatein, khususan bare sagheer hind wa pak  ke musalmano me........ Hamare purane dushman yahud wa nasaara ki karam'farmaiyan nazar aayengi,
unhone hi hamare ittefaq wa ittehad ko taar taar karne aur hamen kamzor wa be'haisiyat banaane ke liye hamare darmiyaan ye diwaaren khadi ki hain,
allah taala ka irshad hai
" aur aapas me tum ikhtelaaf aur jhagda mat karo, warna tum kamzor ho jaaoge, aur tumhari hawa ukhad jaayegi "
(surah anfaal 46)
ummat e muslima ke darmiyaan fitne baaz log  hamesha se rahen hain,
daur e risaalat me ye " munaafiqeen" ke naam se pahchaane jaate they,
aaj ke daur Me unpar deegar mukhtalif qism ke lebel lage hue hain, musalmano me tafarraqa aur inte'shar paida karne waale ye log  jo dar'pardah dushmanan e islam yahud wa nasaara ke agent aur unke haathon ke khilone (toy) bane hue hain,
kabhi ye log mufaad parast ulema e su ki shakl me logon ko gumrah karte hain, aur unme aapas me foot daalte hain, aur kahin peeron ka bahroop bana kar aur khaankaahi saj ban kar baith jaate hain, aur jaahil awaam ko apna mureed banaane ke baad Unhen shirk wa bidat ke amaal e kabeeha aur ghair islami rasoomaat ka aadi banaate hain,
aur kabhi ye aaj munaafiqeen  rahbar e millat aur Siyaasi Qaayedeen ke roop me apna ek halqa asar awaam ke darmiyaan banaate hain, phir jab log unke wafaadaar, hamnawa aur poori tarah mureed ban jaate hain toh ye awaam un naas ke maasoom aur saada'zahno ka istehsaal (EXPLOITATION) karke unke jazbaat e wafaadaari wa himayat e khelte hue, unhe mukhtalif  Bahaano aur jhooti afwaahon ke zariye ek dusre ke khilaaf bhadkaate aur baahami nafrat wa adaawat ka sabak padhaate hain, taake millat e islamia ke ye qalma go afraad mukhtalif siyaasi toliyon aur mazhabi girohon me bat kar hamesha ek dusre se takraate rahen, aur kabhi ek hokar dushmanaan e islam ke khilaaf bar'bakaf na ho saken.....
" kiya kiya luta hai terah naseebi ke daur me,
ghar me koi chiragh jale toh pata chale "
ALLAH TAALA HAM SABKO HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE AUR US PAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE........AMEEN
(ABU ADNAN SAHEEL )

FITNA-E-NAJDIYAT AUR ULEMA E HIND : (PART-1)




Bismillahirrahnirraheem
FITNA-E-NAJDIYAT AUR ULEMA E HIND : (PART-1)
Hindustan par us waqt Angrezon ki amal daari aur unki poori huqmaraani thi,
balke ye unka urooj tha jis waqt hejaz me qabron ko inhedaam ki saari kaarwayi ho rahi thi,
hussain Shareef, makka jo angrezon ka us waqt agent tha, aur unhin ki madad se wahan  hukumat kar raha tha,
Angrezon ko uski hukumat se kai tarah ke faayede they, hajj ki jo aamdani hujjaj kiram se TAX ki soorat me wasool hoti thi, usme bhi uska hissa tha, aur bil'wasta hukumat hone ki wajah se wahan ke deegar wasail aamdani bhi uske qabzah me thi,
sabse badi baat ye hai ke hajj ki kunji (key) ya darwaza (gate ) " JEDDAH " ki bandar'gaah (seaport) angrezon ke paas hussain shareef makka ne rahen (girwi, mortagage) rakh chhodi thi,
is tarah " JEDDAH " angrezon ke zer e nigraani ho gaya tha, aur hajj band kar dena angrezon ke baayen haath ka khel ban gaya tha,
magar jab Shareef makka ke haathon se hejaz nikal gaya toh angrezon se sab kuch chhin gaya,
angrez apni is shikhast aur nuqsaan se tilmilaya hua tha hi, theek isi tarah un maqbaron ke inhedaam ki  kaarwaahi bhi wahan shuru ho gayi thi,
chunanche shaatir dimagh (clever minded) angrezon ko musalmano ke jazbaat se khelne aur apne jabzeh inteqaam lene ka mauqa haath aa gaya. Shah saud ka wah kuch bigaad nahin sakta tha, angrezon ne nihaayat makkari se ye PROPAGANDA karna shuru kar diya ke Muhammad bin Abdul Wahab Najdi Tamimi (rh) ke huqm se na sirf sahaba kiram (ra) ke maqaabir balke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)  ke rozah anwar ki NAOZUBILLAH inhedaam ki Kaarwaahi shuru ho rahi hai,
Ye jhooti aur be'buniyad khabrein aisi na thi jis par musalman chup baithe rahte,
chunanche is jhooti  khabar ke mashoor hote hi, hindustan ke goshe goshe me be'chain, ihtejaj, hangame , aur saudi hukumat wa Sheikh Muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ki khilaaf naaron aur nafrat wa adaawat ka ek toofaan aagaya....!!
Bani Barelwiyat janab Ahmad raza khan barelwi hanfi, jo apne khaandani " Sabayi Mijaz " ke bina par arsah daraaz se Tafreeq bain ul muslimeen aur millat e islamiya ke inteshaar wa inhetat ka khwaab dekh rahe they, wah  in sab baaton ka baareeki se jayeza le rahe they,
Unhone Mauqa dekha, mauqa ghanimat hai, muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) se hindustan ka musalmam nafrat karne laga hai, aur unke inhedam maqabir ke is kaarnaame par bar'mala unko bura bhala kahta hai,
unhone logon ke is rujhaan aur bhadakte hue jazbaat se poora faayeda uthaane ke liye ek jaame mansooba tarteeb diya,
Ahmad raza khan barelwi ne sheikh ul islam muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ki kirdaar'kashi ki gharz se seerat un nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) me maujood hijrat ke waaqeye me Shaitaan laeen ka " Sheikh najdi " ki shakhl me quraish makka ke mashware me shirkat aur abu jahal ki tajweez ke mutaabik nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko chupke ke qatal karne.........(READ NAJD AUR NAJDIYAT KA JAYEZA PART 1)
Is waaqeyi ki  bharpoor taeed ka sahara lekar NAJD aur AHLE NAJD ko Badnaam karna shuru kar diya, aur najdion ke khilaaf jazbah adaawat ko mazeed hawa dene ke liye Sahih bukhari Kitabul fitan me Maujood " hadith e najd" ke us pahluon ko aawaam un naas ke saamne kiya.. (READ NAJD AUR NAJDIYAT KA JAYEZA PART 3).
Jiske mutabik nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne "najd" ke  sar'zameen ke liye dua e barkat farmane se gurez farmaya hai, aur use fitno ki zameen bataya tha,
" Faazil Barelwi " Ahmad raza khan sahab ne Nihaaya chalaaki (cleverness) se hadith me is fitna ka misdaaq Sheikh ul islam muhammad bin abdul wahhab najdi tamimi (rh) ko thahraaya, Kyunki unka taalluq najd ke elaaqe se tha,
ye dono baatein awaam un naas ke saamne pesh karne ke baad sheikh muhammad bin abdul wahab (rh) ko " Sheikh Najdi " ki munaasibat se Shaitaan, mardood, kafir, aur laanat ka mustahiq thahraana koi mushkil kaam na tha,
Ahmad raza khan sahab barelwi Bar e sagheer hind o pak ke Tauheed pasand musalmano aur ahle sunnat ulama ke tabqa se, jo shirk wa bidat ke gumrah kun aqaid wa amal aur ghair islami riwaayaat ke khilaaf aawaaz uthate rahte they, unke khilaaf ahmad raza khan pahle hi Se naraaz se kyonki un ulema e haq ne un rasmon par lagaam lagaani shuru kar di thi, aur is silsile me ahle shia ki bhi saari koshishen be'asar hokar rah gayin thi,
Lihaza un ulema e haq se badla wa badnaam karne ke liye janab ahmad raza sahab " Fazil barelwi " ne intehaai Chalaaki aur fankaari ka muzaahera karte hue hindustan ke un tamam tauheed pasandon ko bhi muhammad bin abdul Wahab najdi tamimi (rh) se jodh diya,
kyonki shirk wa bidat ke khaatme aur tauheed e khalis ki dawat dono me yaqsa haisiyat rakti thi,
shiya " nasibi " jiska waazeh mafhoom Yahan " bad'mazhab " aur " dushman e ahle bait " hota hai, aur ahle shia apne elaawah saari duniya ke musalmano ko sadiyon se " naasibi " samjhte aur kahte chale aa rahe hai,
Ahmad Raza Khan sahab ne Shi'ee istelaah " naasbi" naam badal lafz " Wahabi " Tajweez kiya, yani muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ke pairokaar hamnawa !
Ye nayi istelaah na sirf ye ke naasbi ke ham'wazan aur ham'qaafiya thi, balke uska jo khud'shaakhta mafhoom logon ke zehno me utaara gaya,
wah bhi shi'ee istelaah " naasbi " ki tarjumani karta hai,
Shion ke yahan naasbi " bad'mazhab " aur " dushman e ahly bait " aur " dushman e awliya " baawar karaaya
chunke us waqt hejaz me saudi hukumat ke qayaam ke saath hi quboor sahaba kiram (ra) ke Inhedaam ki kaarwahi ke baad "gumbad e khijra " ko bhi mismar kar dene ki jhooti afwaah hindustan ke muslim awaam ke jazbaat intehaai garam they, aur us waqt soorat e haal aisi thi ke muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) se mansoob karke jo baat bhi unke saamne kah di jaati log us par aankh band karke yaqeen kar lete,
chunanche khan sahab barelwi ne loha garam dekh kar apni khud'saakhta istelaah " wahabi " ko tauheed ke hamnawa aur shirk wa bidat ke mukhalif musalmano hind ke khilaaf ba'taur gaali istemaal karne aur awaam un naas ki zabaan par " WAHABI " ki is gaali ko rawan dawan karne ka himmati faisla kar liya,
lihaza is lafz ke khilaaf nafrat wa adaawat ki aag ko aur zyada hawa dene ke liye, fatawa jaari kiya ke
" Wahabi, yahud wa nasaara aur majoosion se bhi bad'tar hai, aur inka kufr unse bhi zyada hai "
(fatawa rizwiya jild 3 page 6)
agla fatawa waarid hua,
" wahabi, har asli yahudi  Nasrani but parast aur majoos se bhi sabse zyada khabees azar aur bad'tar hai."
(ahkam e shariat pg 1124, ahmad raza khan )
ye fatawa bhi logon me maqbool ho gaya toh phir aawaam ko bataya gaya
" ye kutte se bhi bad'tar hain, ke kutte par azaab nahi aur ye azaab e shadeed ke mustahiq hain "
( fatawa rizwiya jild 5 pg 138)
in lagaataar diye gaye fatawon ka nateeja ye hua ke awaam ke bhadakte hue jazbaat ko taskeen aur tasalli hui,
aur wah itni door se saudi hukumat ya muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ka to kuch na bigaad sakte they, un fatawon ke baad na sirf ye ke khule aam unhen aur barre sagheer ke tamam tauheed pasandon aur mukhaalifeen e shirk wa bid'aat ko burabala kafir wa murtad kah kar aur wahabi ki gaali de kar DIL thanda karne lage,
balke is tarah khan sahab barelwi , awaami maqbooliyat me bhi roz ba'roz izaafa hone laga....
Baherhaal ye ke " naasbi jaisi mashoor Shi'ee Istelaah ke maqam par " wahabi " ke lafz ke zariye TABARRA ki techniq ki be'misaal maqbooliyat aur khilaaf e tawaqqo aftaraaq bain ul muslimeen ke mansoobe ko kaamyabi se ham'kinaar hote dekh ahmad raza khan sahab barelwi ke hauslon ko bulandi mili aur inteshaar e ummat ke Sabaayi  khwaabon ki ek numayan taabeer saamne aate dekhkar unke takfeeri fatawon me izaafa hota gaya aur wah kaamyabi ke nashe me be'khud hokar lagaataar fatawon ke ambaar lagaane lage, jaise
" wahabi murtad wa munafiq hain aur uper se kalma go hain "
( kokabul shahabiyah pg 1112)
aur ye ke
" unhen musalman samjhne waale ke peeche namaz jayez nahi "
(fatawa rizwiya jild 6 pg 81)
phir farmaya ke
" wahabion se musaafa karna na'jayez aur gunah hai,"
( fatawa rizwiya jild 4 pg 218)
aur apne jaahil muqallidon ko aagaah kiya ke
" wahabion ke salaam ka jawab dena haram hai "
( fatawa africa pg 1170)
Haqiqat ye hai ke " tabarra" Ahle shia ke tarkash ka ek aisa " zahreela teer " hai, jiski parwaaz me ghaiz wa ghazab ki chinghaadh, nafrat wa adaawat ke sholey, bugz wa anaad ki tezi, aur sansanaahat ke elaawah maqooliyat sharaafat wa adal wa insaaf aur insaaniyat ki qadaron ka ek tukda tak nahin milta, uska target aur maqsad apne mukhaalifeen ko ziyaadah se ziyadah zahni aziyat aur taqleef pahunchaana aur unhen ghussa aur jhunjlaahat me mubtela karna hai, aur bas is tarah fareeq mukhalif ke tilmilaane aur apni botiyan nochne ke tasawwur se unhe lazzat aur khushi milti hai,
" ilm e nafsiyaat " ke mutaabik ahle shia ke " tabarra " ka ye tarz e amal dar'haqeeqat Unke aziyat'pasandi yani ( SADISM) Ke zahni marz ki ek soorat hai,
maheereen e nafsiyaat ki tahqeeq ke mutaabik ye khatar'naak zahni kaifiyat dimaghi adam e tawazan aur junoon (MANIA) ki alaamat hai,
kya ye dimagi adam e tawazin aur zahni marz me mubtela hone ki alaamatNahin ke koi insaan tabarra ke junoon ka shikaar hokar us baat ko bhi qatai faraamosh kar de ke uski zabaan wa qalam se nikalne waale alfaaz maaqooliyat aur haq wa insaaf se kitni mutaabeqat rakhte hai,
misaal ke taur par, bani barelwiyat janab ahmaq raza khan sahab ke tabarra aur ghaiz wa ghazab ka ye naadir namoona mulaaheza farmaayen, wah farmate hain,
" kufr me yahud wa nasaara se bad'tar hain, hindu , majoos se bad'tar aur wahabiya hinduon se bad'tar hain "
( fatawa rizwiya jild 6 pg 13)
Zara ghaur farmaiyye ! Ke 33 crore devon  aur devtaon ke maanne waale aur khule aam buton ki pooja karne wale hindu, khan sahab ke nazdeek un tauheed paraston aur kalma go musalmano se lakh darje bahtar hain, jo quraan wa sunnat ke bataaye hue tareeqon par gham'zan  sunnat e rasool ke shaidaayi aur islami riwaayat ke muhafiz aur ameen hain,
goya quraan majeed ke alfaz hain
" unhone (musalmano se ) is baat ka  Inteqaam liya ke wah ( unki khurafaat ke bajaaye ) allah ghalib wa zabardast saza'waar e hamd par imaan rakhte hain "
(surah burooj 8)
TO BE CONTINUED...........

Saturday, 20 October 2012

TAANA E NAJDIYAT AUR WAHABIYYAT KA PASH-E-MANZAR (PART 5)








Bismillahirrahmanirraheem



TAANA E NAJDIYAT AUR WAHABIYYAT KA PASH-E-MANZAR (PART 5)


Taareekh ki is haqeeqat se inkaar nahin kiya ja sakta ke (turk) qaum jo kai 100 saal tak aalam e islam par hukumat karti rahi, aur turk hukmaran ba'haisiyat (khalifatul muslimeen ) hejaz par qaabiz aur " khadim ul haramain sharifain " ke magh'ruz laqab se pukaare jaate rahe they,

isi tarah tatari yani  mongol (mughals) donon qaumein jo jadi aitbaar se ek hi nasal se taalluq rakhti hain,

daayerah e islam me daakhil hone se pahle un dono ka shumaar duniya ki intehaayi ujad na'maqool aur wahshi qaum me hota tha,

ye log is qadr wahshi aur ghair mazhab they ke jab kisi ilaaqe par yalghaar karne ghode ki peeth par baith kar jaate toh dauraan e safar bhookh mahsoos hone par chalte chalte hi kamar se khanjar nikaal kar apne ghode ki gardan me ghonp dete aur wahan se nikalne waala garam garam khoon peene ke liye zakhm ke  Maqaam par apna munh laga lete,

isi tarah ye wahshi din wa raat ghode daudaate , mahino ka safar dino me taiy karte, manzil e maqsad par pahunch jaate they, iske elawa wah CHANGEZ KHAN ke ahad se hi unke yahan ye dastoor bhi chala aa raha tha ke wah jis shaher aur maqaam par fatah haasil karte toh maftooh aqwaam ke mard, aurton aur bacchon ke sar (head) tan se juda karke unki khopdiyon ko chunkar alag alag minaar banaate, aur is par fakhr karte they,

saqoot (fall) e baghdad ke baad HALAAKU KHAN ki fauzon ne baghdad ke 14 lakh musalmano ki khopdiyon se jo minaar banaaye they, wah ba'qaul ibn khaldun unki guzashta taareekh ke tamam minaaron par bulandi me sabqat le gaye they,

isi tarah maghruz aur barguzeedh afraad qaum ke marne ke baad unki qabron par aalishaan maqbare aur gumbad banaane ka riwaaj bhi, unhen wahshi tatarion ne hi daala tha,

Tareekh me pahla maqbara changez khan ki qabr par banaaye Jaane ki shahadat milti hai,


Yahi tatari jab musalman hue, apne ilaaqon ya qabail ke aitbaar se  MUGHAL ya TURK ke naam se pukaare jaane lage, tab bhi islam ki paakizah taalimaat ke nateeje me agarchah unki wahshi fitrat me bahut kuch sudhaar aa gaya tha,

lekin bahut si baap dadaon ki rasmein unse phir bhi na chhoot sakin,
isi tarah jaise ham hindustan ke musalman sadiyon se daaman e islam se wabasta hone ke ba'wajood shadi wa ghami ke mauqon par be'shumaar hindu'aana rasmon se aaj bhi chimte hue hain, aur unko tark karne par aamaadah nahi hote,

chunanche khilafat e baghdad ke zawaal ke baad jab khilaafat ki zimmadaariya kulli taur par usmani turkon ke haath aayi, toh unhone apni  qalm ro mein har jagah ba'taur ehteraam sahaba kiram (ra), aimma e deen, awliya allah aur aimma e deen ki qabron par apni qaumi mijaaz aur TATARI rasm wa riwaj ke mutaabik aalishaan gumbad aur khoosurat maqbare taameer Kar daale,
sadiyon tak aalam e islam khususan haramain sharifain un usmani turkon ke zer e nigraani rahe, jiski wajah se wahan par tamam sahaba kiram aur buzurgaan e salaf wa khalaf ki qabrein pukhta aur aalishaan maqbaron me tabdeel hogayin,

dheere dheere jab imte'daar zamana ke saath musalmano me zahni aitbaar se badlaao aaya aur shirk wa bidat ko farogh hua toh sahaba kiram (ra) aur buzuraan e deen ke un maqbaron  par shirk wa bidat ki wahi tamam khuraafaat hone lagin,

jis tarah aaj hindustan me kaliyar, ajmer, dewa, bahraich, barabanki, nizam ud deen awliya dehli ke maqbaron par hote hue ham apni aankhon se dekhte hai,

lekin haramain sharifain ke zer e saaya ye shirk aur allah wahdaaniyat ka MAZAAQ kab tak ???

Chunanche hejaz aur haramain sharifain par saudi hukumat ka daur shuru hua toh ameer saud ne apne sheikh wa murshid MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI TAMIMI (RH) ko " mufti e azam " ka ohda Aur unhe " sheikh ul islam " ka mansab ata kiya aur unke mashwaron aur fatawon ki buniyaad par hi saudi mumlakat me deeni kaam anjam diye jaane lage,

sheikh ul islam hz muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) jo hambali maslak ke aalim they aur theek isi tarah hambali aqaid par amal paira they, jo mazi me sheikh abdul qadir jilani (rh) ka tareeqa aur tarz e amal raha hai,

muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ka sabse bada jurm haramain sharifain aur sar'zameen najd wa hejaz me jagah jagah bane hue sahaba kiram aur deegar saaliheen ummat ke pukhta maqbare khusatan madeena munawwara me " jannatul baqi'e " ki  qabr e muqaddasa par bani imaarton aur qubbon ke inhedam (destroy) ka amal bataya jaata hai,

aur is par unhe kafir, murtad,  aur na jaane kiya kya kaha jaata hai,

jazbaat ki nazar se hatkar agar insaaf ki nazar se dekha jaaye aur unke is kaam ka thande dil se jaayeza liya jaaye toh Bila'shubah wah bilkul hi be'gunaah dikhaai denge,

aur allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki is hadith shareef par amal paira honge ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) qabron ko pukhta aur un par imaarat wagerah banaane se mana farmaya hai,

" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne qabron ko choona'gach (pukhta) karne se, unpar baithne se, aur unpar imaarat tameer karne se mana farmaya hai "

( sahih muslim kitabul janaiz )


aur unhone ek hambali aalim e deen hone ke naate jo kuch bhi kiya, agar sheikh abdul qadir jilani zindah hote toh aise haalat me wah bhi fiqh hambali ki ru se yahi sab kuch karte,

ham yahan is baat ki wazaahat kar den ke fiqh hanafi ki kitabon me likha hai ke qabr banaate waqt uski bulandi ek ba'lisht zameen se ubhri hui rakhi jaani chahiye taake ye log be'dhyaani me aam zameen ki tarah sapaat jagah samjh kar uspar chalne ya uspar Pair rakhne se ghurez karen,

lekin fiqh hambali me ye gunjaish nahi hai, wah log qabron ko zameen ke baraabar kar dene ke qayel hain, aur iski daleel me hadith pesh karte hain,

jo hz ali (ra) se marwi hai aapne abul hayaz asdi (ra) se farmaya tha ke:-" main tumhe us kaam ke liye kyon na bhejun jis par mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne bheja tha, yani kahan koi tasweer ya but dekho use mita do, aur jo qabr zameen se unchi dekho use baraabar kar do "

(tirmizi jild 1 pg 125)

chunanche sheikh ul islam muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ne apne hambali maslak ke mutabik shah saud ko in tamam maqbaron ko gira dene aur unhen zameen ke baraabar kar dene ka huqm diya gaya,

bas ! Is khabar se duniya ke tamam khaankahon wa quboori musalmano me be'chaini ki laher daudh gayi, khaas taur par hindustan me ek toofaan barpa ho gaya,

sahaba kiram (ra) ki tamam qabr e muqaddasa par jin  Par ba'qaayedah shirkiya rasmein aur chadhaawe chadhaaye jaate they, unse minnat aur muraaden maangne, log door door se aate they,

unko theek isi tarah  tauheed ke tahaffuz (hifazat) aur shirk se hifazat ke liye mismaar kar diya gaya,

jis tarah ameer ul momineen hz umar bin khattab (ra) ne apne daur e khilaafat me hudaibiya ke maqaam par wah darakht jiske neeche " bait e rizwan " hui thi, aur jiska zikr quraan majeed me bhi aaya hai, logon ne wahan jaakar aur us darakht ke neeche nawafil padhne ka riwaaj dekhkar tauheed ki hifaazat aur shirk ke imkaan ke pesh e nazar hz umar (ra) ne us darakht ko jad se ukhadwaa kar phenkwa diya tha,

halaanke us waqt daur e farooqui me wahan kisi qirm ke shirk ka aaghaz nahin hua tha, sirf namazein hi wahan padhi jaane lagin thi,

jabke iske bar'khilaaf daur e saudi se pahle sahaba kiram (ra) ki un qabr muqaddasa par arsah'daraaz se shirk ki mahfilein jami thin aur Chadhaawe aur nazraane wagerah chadhaaye jaate they,

aisi soorat me ek  zimme'dar aalim e deen ke liye un ghair islami aur shirk ke ghadh imaarton ko mismaar aur nest'nabood karna, sheikh ul islam hone ke naate na'ghazeer tha aur wahi hua........


TO BE CONTINUED......